Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name general 
Question Salam mera sawal ye ha k mera zehan(Dhian) namaz parhte waqt idhar udhar bohat jata ha khas kr gandi baton ke taraf. plz mujhe koi asan sa wazeefa bata den k me namaz sukoon se parh sakon. 
Answer Insan ko khayl rakhna chahea k namaz jaldi jaldi na perhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rehay aur khusho aur khuzoo aur waqar sai namaz perhay aur ye khayal rakhay k kis hasti sai kalam kar reha hai aur apnay aap ko khuda ki azmat aur buzrgi k moqablay mai haqeer aur na-cheez samjhay. Agar insan namaz k doran puri terh in batoo ki taraf motawajah rehay to wo apnay aap sai be-khabar ho jata hai jaisa k namaz ki halat mai Hazrat Ali a.s. k poun sai teer nikal lia gya aur imam a.s. ko khabr tk na hui. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, namaz k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.