Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question I have a question k kia Islamic Banking mein investment halal hai kia. Aaj kul Standard Chartered, Bank Islami aur some other banks hain jo Islamic assets mein invest kartay hain aur they says k wo halal way par kaam kartay hain jo k islamic shariaa k ain mutabiq hai. I want to know if there is any way / policy jo banking say relevant ho aur confirm karay k wo halal hai. 
Answer 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). 4-Munafa (profit) lene k liay on banko main raqam jama kerna jaiz hay, jin main ghair muslimo ka sermaya (capital) laga hoa ho chahay wo bank private hoon, government hoon ya mushtarka(semi-government) hoon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.