Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatollah Sistani 
Question assalam o alaikum pakistan mein agr kisi bhi elaqe mein chand nazar aa jaye to kya doosre elaqon wale bhi use apna chand krar de skte hain?? for example: agr karachi me chand nazar aa jaye aur pindi-islamabad me na aye to islamabad walo k lye kya hukam hai 
Answer Shaharoon (cities) ka aik doosray se door aur qareeb hona chand k sabit honay ka meyar nahi he balke meyar danoo k ufaq ka us tarha se aik hona he k aik shahar me chand k dekhay janay se dosray shahar me bhi agar badal wagira jaise rukawat na ho to chand ko dekha ja sakhe pas agar aik shahar me chand sabit ho jey to us shahar k magrib me waqae un shaheroon me bhi chand sabit ho jay ga jo khat e araz k hisab se bohat ziada door na ho lakin is shahar k mashriq me waqae sharoon k lie us waqt tak chand sabit nahi ho ga jab tak k wo shahar mazkoora meyar per pura na utarta ho maslan is tarah k jis elaqae me chand nazar aya wahan chand donoo elaqoon k darmian suraj groob honay k fasle se ziada dair tak nazar aata rahey. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 197, pg # 95 , 96)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.