Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Information about Tahajjud Namaj ? 
Answer Namaz e tahajjud 11 rak,aat hay.8 rak,aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak,at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak,at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak,at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay namaz shab me faqd 1 rakhat witar per iqtefa karsakte hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104, (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 498, eidition 1435 ) Namaz e tahajjud ki rakato me surah al hamd per iqtefa kar sakte hai aur dosere surah perhna wajib nahe hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4,ques # 78, pg # 47) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.