Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam-o-alaikum sir mujhe yeh pochna ha k mere dant main bohat pain horahi thi tu main doctor k pas gaya tu us ney mujhe injection lagaya kisi dost ney mujhe btaya k roza toot jata ha tu main nay a kar pani pee liya ab mera roza toota ha ya nai thori wazahat kar dey ? 
Answer Injection lagwane se roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1557 ) Agar insaan na jaanta ho k jo chease rozo batil kar deti hai.(yane : khana ,pena,jima , istimna, allah, rasool,aur rasool k janasheen se ehtiyat e wajib ki bina per koe, jhooti baat mansoob karna , ehtiyat e wajib ki bina per ghubaar halaq tak pouchana ,jaan boojh kar janabat, haiz, nifaas ki halat me baaqi rehna,kise gheli chees se enema karna, ulti karna. aur masla jaane me k silsele me is ne kohe kotahi na ki ho aur na he kise qism k taraddud ka shikaar ho,ya ye k share hujjat per etemaad rakhta ho aur khane pine k ilawa aur jima k ilawa in afaal me se kise fail ko anjaam de to is ka roza batil nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1625, 1626) Jo chees roze ko batil kar deti agar koe in me se kise fail ko anjaam de jab k ise pukhta yaqeen ho k is amal se is ka roza batil nahi hota to is per kafara wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1631)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.