Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamoaliakum mujhy, pochna hy k, agr talaq hone,ke bad urat agr edat main nahi bethna chaye tu kiya yeh jaiz hy? Main akelli rehti hun meri bachi boht choti hy mery husband ne mujhy aj email main 3talaqin send ki hain wo baher regresa hin aur mera koi bhi nhi main usi k ghr min apni beti k sath rehti hun min boht pareshan hun ap mujey batin k main edat karon k nahin. 
Answer Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) Agar sahe talaq de ho to phir aurat k lie iddat rakhna zarori hai. : Aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye hay jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.