Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aslalam o ALaikum Sir meria sawal ye hai k itikaf mai mahwari ka a jana kia itikaf se bahir nikhal na hu ga ? 
Answer 1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aye is ka roza batil hai. 2)Haiz ki halat me aurat roza nahi rakh sakte hai. 3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nahi haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) 4)Etekaaf k sahi waqt us waqt hai jab roza rakhna sahi ho yani roza rakhna haram nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 477) Agar mustahab etekaaf ko 2 din ghuzar chuke hoon aur us k baad etekaaf batil ho jaay ( maslan aurat ko haiz ajaay to ehteyaat e lazim ki bina per is etekaaf ki qaza karna wajab hai. Laikin agar 2 din ghuzarne se phele etekaaf batil hogaya ho to us ki qaza karna wajib nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail ka hissa jaded masail 31st edition,pg:482, maslah #15 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.