Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question roze main ager sote howe ahtelam hojae to kia ghusal roze ki halt main hi kr skte hain k nahi? aur ager kr skte hain to phir kia tarika wohi hoga jo hum normally krte hain?  
Answer 1)Agar kise roze daar ko din me ehtelaam ho jaay to is per fouran ghusal karna wajib nahe. ( yani din me kise bhi waqt karsakte hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1605) 2)Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. gusal main baal baraabar badan bhi ager na dhoya jaae ye dholne se reh jaae to gusal batil hai lekin kaan aur naak k anduroni hisso ka aur har us chease ka dhona jo batin shumar hote ho wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. Note gusal main un chote chote baaloo ka dhona wajib hai jo badan ka juz shumaar hote hain, lekin lambe baaloo ka dhona wajib nahi hai, ager badan ko is terhan dhoya jaae ke jild tak pani poch jaae or baal tar na ho to gusal sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-378 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.