Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam, kia rozay k doran kulli karte waqt ghalti se kuch miqdar m pani Halaq me utar jaye to Roza toot jata hai??Or Roza k doran zaiqa wali dakaar m sehri ke khane k kuch zarraat halaq me ajaen to Roza toot jata hai kia?? Allah hafiz. 
Answer Agar piyaas ki wajah se kulli ki jay or pani bay ikhtiyaar pait main chala jay tu roze ki kerna wajib hay.Laikin agar rozedaar ye bhol jay k roze se hay or pani gale se utar jay ya piyaas k alawah kisi dosri sorat main jahan kulli kerna mustahab hay-jaise wuzu kerte waqt- kulli kare or paani bay ikhtiyaar pait main chala jay tu os per qaza wajib nahi hay. Agar Rozay daar dakaar lay aur koi cheez is kay halaq ya moo me aajaye to zaroori hai kay isay ugal day aur agar be ikhtiyaar pait me chali jaye to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1659,1556,1624)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.