Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam, Agha Sahib, sb sy pehly ham Rab e Kareem sy Doa Goo hy k apko iss Azeem kam k krny pr ajr e Azeem Ata Farmayee. Ameen. Molana sahib mera ak question hy kindly jawab jald sy jald send kr dena ap ki mehrbani hoo gii ta ham islam pr amal pera hoo sky. Agha Sahib mera swal ye hy k kia ak insan jis ka nikah hoo chuka hoo magr abi Rukhsti na howi ho matlb abi Shadi na howi hoo aur us ki wife abi apny Parents k gaar ho to kia woo walden parents sy chup kr rat ko ya kisi bi waqt donoo mill skty hy maa baap ko dhoka dy kr ku k abi hamry moshara to uny milny ki ijezaat ni deta ku k abi un ki shadi ni howi just nikah howa hy ? kindly jawab zaroor de dy jald sy jald. kia agr wo donoo chup kr milly aur just kiss hug etc kry to koi gunha to ni hy ku k un k parents to abi ye bardasht ni kry gy naa ? plz give me the answer with detail. Allah paak apki Tofeiqaat mein Izafa farmayee ameeen.  
Answer ye dono nikha k baad hasband o wife hain, lekin ager riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahi hoti us waqt tak larki apnea p ko apne shohar ke liye pesh nahi karti, is terhan ke is ko goya ik zimni shart samjha jata ho to phir orat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahi hai. (Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , part # 4 , masala # 150) Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.