Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question aslkm.mujhe ek 8saal ka ladka hai jo 3class padrahahai woh bohot hi dubla hai woh hamesha active rahta hai lekin wod din ba din dubla hote zara mujhe usski fikr hori mujhe isska koi hal batadijiyeh plz 
Answer 1-Nihaar moonh khajoor k saath dhoodh peenay se khoon saaf hota hay or wazan(weight) main izafa hota hay. 2- Hara dhaniyah (Green Coriander) ka taza ras or lemoo(Lemon) ka ras mila ker rozana subah peenay se khoon saaf hota hay or wazan(weight) bertha hay. 3- Raat ko bhens(buffalo) k dhoodh main sabut chanay bhigo dain or subah kha lain, is se qoowat aati hay or wazan main izafa hota hay. 4- Khajoor(dates) 10 tola or khishmish( raisin) 5 tola rozana khanay se bilkul sookhay hoay aadmi k jism main naya khoon paida hota hay or bohot faida hota hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.