Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera sawal ye hai k muje pashab k katre ate rehte hain. wazo k baad b yehi hota hai .. batain k is halat me namaz kese parhu koi wazifa hi bata de 
Answer Ager namaaz ke awal waqt se aakhir tak kuch esa waqt ho jis main ap wazo kar ke paak halat main namaaz phar sakte hain to us main namaaz pharna wajib hai.Or ager awal se aakhir tak sirf itna waqt mile jis main sirf namaaz ke wajibaat ko ada kiya ja sake to sirf namaaz ke wajibaat ka ada karna zarori hai.Or ager halat ye ho ke pishaab her waqt nikalta rehta ho or sirf namaaz ka baaz hissa (masalan 3 rakaat) paak halat main phara ja sakta ho to us hisse ko paak halat main pharna wajib hai.Or ager pishaab pure waqt is terhan nikalta ho ke puri namaaz na-paki ki halat main hoti ho to namaaz sahi hai, or ager namaaz ke dermiyaan pishaab nikal bhi jaae to namaaz batil nahi hoti.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 305 to 313).Or pishaab ki bimari se nijaat ke liye ik koraak main 6 masha haldi pani ke sath phankain. Or chini se perhaiz karain. (Ref : apna dawa khana , topic # ilaaj ba-zaryaae haldi pishaab ki ziyaatti , pg # 22 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.