Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aslam o alikum, me aik lerki say pyar kerta ho or muj say. us k ghar walay us ki mere sath shadi nahi kerwana chahtay thay. aik din wo lerki apna ghar chor k mere pass a gai or nikah ker lia jis may us k baap nay shirkat ki. teen mahinay baad meri maa ne us k baap say kaha k ap us ko apne pass 2 saal k liay rakh lay ya is ki ruhasti day day logo k samnay lakin wo kisi b sorat may apni beti ko wapis apnay ghar rakhnay ko tayaar nahi thay siwaaye talaq k meri maa nay yeh is liay kaha tha k meri behan k risthay may masla ban raha tha lakin us k ghar walo or meri maa nay is ko apni anaa ka masla bana liya tha. jab us k baap nay kaha k talaq day do to le jata ho to meri maa nay kaha k theak hai ap talaq le lay. or us ka baap kuch log le k a gaya. mene koshish ki k baat ker k koi rasta nikal aye lakin wo talaq pe bazid thay. meri maa nay mujay b keh diya k is ko talaaq do jo me nahi chahta tha. unho nay pehlay tehriri tor pay talq likhi or baad ma kaha k isko perho jo mene perh dia. meri talaaq dene ki koi niyat nahi thi or na me chahta tha mene jo kia apne ghar walo k dabao me kia. or jis waqt yeh talaq hoi us waqt wo lerki halat e haiz me thi. braye mehbani mujay bataye k yeh talq waqia ho gai ya is may koi gunjaish baqi hai? 
Answer Talaq k sahi honay ki khuch shrait hain:jin main say khuch ye hain. 1) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Maaloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-65 ). 2)zarori hay keh talaq ka sigah sahi Arabi k saath perha jay aur do (2) aadil mard osi sunain lakin agar koe merd arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur vakeel bhi nah bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarye talaq de sakhta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur 2 aadil mard usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.