Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name soni 
Question ghusal k liye tiyamam ka kia treeqa hi? 
Answer Wazu ya ghusl k badlay kiay jaanay walay tayammum me 3 cheezain wajib hein 1: donoo hatilioon ko aik saath aisi cheez per rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ethiat e laazim ki bina per donoo haath aik saath zameen per rakhnay chahiain. 2: Donoo hatailion ko puri paishani per sar k baal ugnay ki jagah se aabro aur naak k baala’e hissay tak phairna aur isi terah ethiyaat e wajib ki bina per peshani k danoo taraf donoo hatilioon ko phairna, ethiat e mustahab ye he k haath aabroo k oper bhi phaira jaay. 3: baa’een(Left) hataili ko da’een(Right) haath ki tamaam pusht per aur is k baad daa’een hataili ko baa’een haath ki tamaam pusht per phairna , Zarori he k tayummum (qarbatan illal’laah) ki niyat se anjaam dain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 690). Was-salam  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.