Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam O Alaikum, Mera naam muhammad shahid hai or men karachi pakistan ka rehaishi hun, ap ki khidmat men aik masla pesh kar k ap ki rehnumai hasil karna chahta hun, hazrat meri 2 zojaat hen or men puri tarha se dono ka haq ada kar raha hun yani naan nafqa ho ya zoji haquq dono ko barabari se chala raha hun lakin meri pehli bivi se meri nok jhonk bohot zyada ho jati hai or ye tab se hai jb meny dusri shadi nahi ki the or har masly k ikhtatam per wo aik hi jawab deti hen k men gussy men the or mujhy samajh nahi aya or galti ho gai is galti men mujh se or mery maan baap se batamizi or gali galoch shamil hai chand din pehly mery bety ki salgira the us per meri pehli bivi or mery bech nok jhonk hui or sab mehmanon k samny meri bivi ne mujh per hath uthaya mujhy thapar mary or phir gireban se pakar kar dhaka diya jis k jawab men chup raha per bad men behes is had tak barhi k mera hath utha apni bivi is per chand din bad mery susar ne mujhy dhamkian di or kaha men larki ka baap hun usy ghaseet kar le jaun ga chahy wo khud any per amada ho ya nahi ya tum ijazat do ya nahi wo ay or meri bivi ko zabardasti le gay meri ijazat k bina or meri bivi ne ja kar kaha k men bohot khush hun yahan ab mery walid mohtaram ne ye fesla kia hai k wo mujhy meri dusri bivi k sath apny ghar se nikal rahy hen or humen nikal kar meri pehli bivi ko ghar bula kar rehny ko kahen gy is bat per mery susral ko bhi aiteraz nahi hai to janab is per sharai hukam bataye, kya aik susar apny bety ki ijazat k bina apni bahu ko apny ghar rehny ki ijazat de sakta hai? Apka Khidmat Guzar Muhammad Shahid 
Answer Shadi ka bad apki biwi per jitna haq apka hai utna na apk susar ka hai or na apk walid ka. Lehaza apki biwi ka apki ijazat k bger ghar se bahir jana jab k ap razi na hon ye kam haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376). Update on dated 01-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.