Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Maira hamal sirf 2 haftay ka hai kiya main zaya ker sakti hun islam ke roshni may btain plz.maira 9 month ka baby already hai.main pehlay ous ke ache perwarish kerna chati hun 
Answer Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.