Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question maira czn r mai pasand kartay hain aik dosray ko r shadi karna chahtay hain par halat asay hain k ye filhal mumkin nae ,na hum door rah saktay hain,wo chup kar nikah karna chahta h par mai ic par raze nai ,mai asa kabi nai kar sakte ,,,,, koi hal wazeefa ya acha mashwara dain ,mai jald shadi karna chahte hun par wo asa nai kar skta apnay ghar walon ko abi nai kah skta kuk wo abi parh raha h .hamare call par baat b hote h mje ye nai pasand par wo nai samjhta bht nazuk h khna khana chor data h sara sara din laita rahay ga agar mai bat na karun to.... plz help me 
Answer Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.