Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question aik talaq k baad iddat ki mudat kya hai?? shohar kitny dino ander apni biwi sy ruju kar sakta hai??? 
Answer Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho (yani aisi aurat jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho), us ka sohar us se mujameat(hambistari) karey to agar wo usay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ). Is surat mai dekhna paray ga k talaq kon si di hai talaq e bayen di hai ya talaq e rijei di hai. agar talaq e bayan di hai to mard apni aurat ki taraf roju karnay ka haq nahi rakhta yani ye k baghair nikah dubara osay apni biwi nahi bna sakta. Aur agar talaq e rijei di hai to aurat jab tak iddat mai hoti hai shohar is sai baghair nikah k roju kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.