Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question aslaam o alikum, ap ne bohut se logon ko jvb dia he ap k jvab thk b hain lakin ap tasali bakhsh jvab nai dy rahy hain, mera bohut serious masla he agr ho sky to mail kr dyna mei id b likh dungi, mera masla ye he k meri shadi ko 6 months ho gaey hain shadi k shuru k 20 din hm sath rahy hain aur us k 2 mahiny bd 10 din sath rahy hain, mery shohar mery pas nai hoty hain, mje un se sexualy koi satisfaction nai he un k penis ka size b kafi chota he aur bohut jaldi discharge ho jaty hain, aur sperm b blkl pani he aur quantity mei b kamhe, mei unhy check up krany ka bohut bar keh chuki hun wo meri bt nai sun rahy hain mje khrcha nai bhyjty mei ami abu k pas rehti hun mei un se bohut tang ah chuki hun hmari shadi b zbrdsti hoi thi, mei un se aledgi chahti hun meri liye islaam mei kya hukam he? 
Answer Agar shohar ne biwi se judaaiy ikhteyaar ki ho aur is se kinara kash hoa ho to biwi apna muaamla le kar mujtahid k paas jasakte hai jo shoar ko do bato me se aik ka paband kare . ya biwi ko ghar laa kar basaay ya ise khushi se talaaq de de ta keh wo kise aur se shadi kar le . Agar shohar in dono se inkaar kare aur ise in dono me se kise aik per majboor na kiya jaa sake to mujtahid biwi k mutaalbe per is ka sigha jaari kar sakta hai aur agar is se jodaae ka sabab biwi bani ho jis ka koe share jawaaz nah ho to ise mujtahid se talaaq dene ka koe rasta nahe hai. (Ref : Jadeed faqhi masail ,aqa sistani, masla # 428, 429,pg # 241,242, eidition 5). jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k shohar ki ijazat k beghair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.