Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mera sawal ye hai k meri Biwi k ghar walon ka or mera bohat jhagra rehta tha, tung aa ker main nay apni biwi say kaha k main tumko talaq nahi dena chahta laikin ager tum khula chahti ho to lay sakti ho us ney do din sochnay k baad apnay ghar walon k dabao main aa ker mujhay likh ker de dia k wo alhaidgi chahti hai or apnay baap k sath chali gai. us waqt wo pregnent thi kuch mahino baad shariat board nay mujhey uski darkhwast per notice bheja or sulha kerwaney ki koshish ki. mager wapis anay k liey meri biwi ney wo sharaiat rakhin jo main poori nahi ker sakta tha. main ney un sharait ko mannay say inkaar kia or ye likh ker de dia k is ney mujh sey alhaidgi ka mutalba kia hai lehaza ager ye ana bhi chahti hai to main nahi rakhna chahta. us ney wahan kaha k meray shohar nay zabardasti likhwaya hai or main khula nahi chahti ager ye talaq dena chahtey hain to den. main ney kaha k ager ye khula chahti hain to lain main talaq nahi doon ga or main ney kabhi ye nahi kaha k main talaq dena chahta hon. taqreeban 6 mahinay baad meri beti paida hoi jis ki mujhey khabar nahi di gai. main ney apni biwi ko khat likha k main dusri shadi ker raha hon apna haq mehar lay lo or khula lay lo us ney likha main khula nahi chahti or usi khat main bataya k meri beti ho chuki hai 3 mahinay ki hai. ye sun ker main apni Bivi or bachi sey milnay us k ghar gaya mujhey milnay nahi dia gaya. phir main ney dusri shadi ker li. bohat mahinon hamara rabta nahi hwa main her 4 ya 5 mahinay bad khat bhejta tha k meri beti sey milnay do mager us ney na kabhi mujhey phone kia or na kbhi ghar ana chaha kyon k wo adalati bayan hotey they k main ana chahti hon. ab ye case court main hai us ko gay hway 4 saal ho gay hain main ab bhi us k ghar phone kerta hon mager wo baat nahi kerti. meray sawalat ye hain: wo haq e zojiyat ada nahi kerna chahti kyon k na us ney kabhi aney ki koshish ki na rabtey ki or na meray rabta kerney per koi musbat jawab dia sirf adalaton main ye kaha k wo ana chahti hai wo bhi sharait per. Kia mujh per us ka 4 saal ka naan nafqa wajib hai? adalat ney meray khilaf faisla dia hai k mujhey 4 saal ka naan nafqa dena hai. mujhey shariat ka jawab chahiey. kia wo sharai aitebar sey meri BiVi hai jab k 4 saal se hum alag hain. Meri beti sey milney per pabandi lagana ya meri merzi k khilaf naam rakhna un logon k liey jaiz hai kyon k main kuch or naam rakhna chahta hon unhon ney kuch or rakha, jab k main ney her jaga kaha k main apni beti ka maintenance amount deney per tayar hon. Shukria 
Answer Ab tak wo ap ki zojiyat main hain, agche un ka 4 saal ka naan o nufqa dena aap per wajib nahi hai, or aap ki beti un ki bhi beti hain to wo us ka naam rakh sakti hain lekin aap ko us se milne na dena jaiz nahi hai. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , 2377 , 2422 ) Update on dated 20-11-2015.. Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.