Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam.o.alaikum..! Mera name Muhammad Noman Khan hai, or main lahore se taluq rakhta hon. Mera sawal ye hai k "agr husband kisi dosree mulk main ho or wo kxh problms ki waja se apni wife ko tallq dena cahe to wo kese dy ga..? Jub k husband ka apne mulk aana possible nai...? Plzzzzz sir mujhe is question ka answer bta dain. JazakAllah. 
Answer Wssalam o alykum, ager niche di gaae sharait ke sath talaaq di jaae to talaaq sahi hai, 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) na kia ho. 2.talaq zabani(Bol kr) di jaye, yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq(jab shohar de raha ho chahe w kahin bhi ho) do aadil log (jo zahiri tor per gunahgaar na hon, or wajib kamo per amal kertay hon or haram kamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq dene par majboor kia jaye tu talaq batil hay.6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472). Note Behter hai ke problem ko solve karne ki koshish karain or talaaq se guraiz karain Isi liye k riwayat men hai k ye wo jaiz kaam hai jo Allah ko pasand nahi hai.(Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.