Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalam u alaikum pehly tu me apsy mazrat ki darkhuast karta hun . koi bat jany anjany me buri lagy tu me mafi chahta hun . me abi parh raha tha shia larki aur sunni larky ki shadi k bary me . mjhy 1 bat bht ajeeb lagi ap ny kar sawal me yeh lazmi mention kia hy k agar gumrahi ka dar ho tu haram hy ! right kia humary payary nabi pak salallaho alehe wasalam k door me kia koi firqa tha ? sirf 1 bat per amal hota tha k musalman musalman sy shadi kare . ya tu sunni musalman nai ya shia musalman nai . jis ki bina per ap ka yeh kehna hy ! kindly Respected sir or madam we are muslim . hume musalman rehny ki taleem den apas me rang , nasal , qoom , firqo sy ijtanab krny ka dars den . mery pas ilm nai hy koi bt buri lagi ho tu plz meri islah karen .  
Answer Hazrat Rasool Allah (s.a.w) se marvi Hadees hai, ke meri ummat 73 firqoo main taqseem ho jaae gi, in 73 firqoo main se 1 ke ilawa tamaam jehannami hain. Or dosri marvi Hadees main hai ke main tuhmaare dermiyaan do giraan qader chezain chore jaraha hon, ager tum in dono se mutamassik raho ge to mere baad gumrah nahi ho ge, (in main se ik) allah ki kitaab or (dosre) meri itrat jo ke mere ehl e bait hai, or ik or jaga Ap(s.a.w) se Hadees marvi hai ke ali haq ke sath or haq ali ke sath hai.(Ref : Ali(a.s) khalifa e Rasool(s.a.w) , fasal # 2 , Topic # Hadees e Haq , pg # 109) , (Ref : Noor e Imaan , Topic # Hadees e Saqlain , Pg # 175) , (Ref : Ahsan ul Aqaid , mutarajjim o musharreh # Allamah Fazil Miqdaad , pg # 10). Mazkora mrviyaah Ahadees se ye natija nikalta hai ke, Ap ne sahi kaha ke us waqt koi firqa nahi tha to ik musalmaan mard ik musalmaan orat se shadi karta tha, lekin aaj ke door mian firqe hain (jo pehli Hadees ka mafhoom hai) or in main se sirf 1 wohi firqa sahi hai (jesa ke Hadees e Marviyaah ka bayaan hai) jo Us door main Rasool Allah (s.a.w) ke nazdeek maqbool tha, or wo firqa Ali bin Abi-Talib (a.s) ko baad Rasool (s.a.w) Imaam maanne wala hai yani Shia Isna Ashari (ye 2nd o 3rd Hadees se makhooz hai), Pas Ager shia ka geer e Shia se shadi karna Shia ke deen o imaan main tabdeli ka sabab bane to ye shadi karna jaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal # 134 , pg # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). Note: Ilm na hone ki surat men insaan k zehn men is qism k sawalat ubharte hen lehaza is qadar ilm hasil krna insane per wajib hai k wo apne aqaid ko behtar tarike se jaane or apne ki haqeeqi malumat rakhe. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.