Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question AOA.maray shohar nay dusri shadi ki hai woh neechay walay portion main rahti hai aur mein upar mara shohar uss kay saath rahta hai apna sab samaan bhi neechay lay gaya hai ab ussay 5 month ho gay hain uppar nahi aata bachon lo bhi poochta dusri ko dinner par lay jatta hai sab kuch samnay karta hai lakin hamain nahi poochta sirf khana pura karta hai kapray waghaira bhi nahi lay kar daita susral walon say baat ki tau woh pahlay say bhi bighar gaya hai mujhay samaj nahi aa rahi kya karoon kafi baar socha kay Khula lay loon lakin uss ki bhi himaat nahi hottie aap plssssss batain kay mein kya karoon Islami rooh say pssssss lazmi bataya ga aap ki bohht maharbani ho gi.plssssss 
Answer Biwiyo k sath jis adalat k laazmi taur per rawa rakhne ka hokum diya gaya hay os se muraad raato ki taqseem main adalat hay. is maana main keh agar aik raat aik bivi k paas soya ho tu 4 raato main se aik raat dosri bivi k paas bhi soay. Jo adalat shariyat ki nigah main mustahab hay os se muraad naan o nafaqah or onki taraf tawajjah daine, chehre ko hash shaash bash hash rakhne or jins khahish pori kerne main braberi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed masael, maslah #434). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.