Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question kya nmaz e juma village ( gao) me ada ki ja sakti h . agar ho sakti h to uski kya sarte h  
Answer Juma ki namaz subah ki namaz ki tarah do rakat hai, is men or subah mki namaz men faraq ye hai k us namaz se pehle 2 khutbe bhi hen, juma ki namaz wajibe takhyiree hai, is ka matlb ye hai k juma k din namazi ko ikhtioyuar hai k agr namaz e juma ki sharten mojud hon to jum aki namaz parhe ya zuhr ki namaz parhe lehaza agr insane juma ki nanamz parhe to wo zuhr ki namaz ki kifayat krti hai(matlb phir zuhr ki namaz parhna zaruri nahi hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #720) Juma k din zuhr or asar ki 16 rakat nafil pr 4 rakat ka izaafa hojata hai, behtr hai k puri puri 20 rakat zawal se pehle parhi jaen siwaye do rakat k jin ka zawal k wqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.