Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salaam, me ek larki hun......Or me ek larky se boht muhabbat karti hun...hum dOno ne ek sat bht waqt guzara hy....ek do din hum ne akele b guzary hain jis me hum ne sirf batain ki hain....or sOye b sath me hain lekin hum ne kuch kiya nahi hy,,,,,,ab us larky ne mujhe chOr diya hy,,,jab se us ne mujhe chora hy tab se meri zehni halat thek nahi hy,,,,mujhe us ki yaad bht ati hy....dusri taraf mujhe esa lagta hy k mera Allah mujh se bht naraz hy isi liye meri us gunah ki wajah se meri zindagi mai khushi nahi hy.....me puchna chahti hun k mujhe is gunah ki maafi k liye kya karna chahiye????? me tOba k liye nawafil b ada karti hun astaghfaar bhi kasrat se parhti hun...... Or dusra ye k kya hum dOno par nikah wajib hO gaya hy????agar han tO mujhe kya karna chahiye???? please meri madad karain.... 
Answer 1)Jo shaks shadi na hone ki waja se haraam kaamon men mubtila hota ho is per wajib hay k shadi kar le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2407) 2) 2)Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.