Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question ASSALAM-OOALAIKUM sir,me ne apse sawal kya tha Question ID#57829 to apne kaha tha k kawari larki apne baap ya dada ki ijazat k bgair nikah nh kr skti ya agr wo krti ha to sahi nh ha to sir mera next question ye ha k jo larkian bagh kr ya court merriage krwati ha un me b larki ka baap ya dada agree nh hota to kya ye nikah nh ho ga jo court merriage ya bagh kr kya jaye or un k darmiyaan jo relationship yani intercourse ho ga wo halal ho ga ya haram zina me aye ga plzz tell me 
Answer Wssalam o alykum, jee han ye nikah bhi (court ya bhag kr ho) galat hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 2335,2341,2342, Eidition 1430 hij) Ager larka o larki dono nahi jaante the ke nikah ke sahi hone main larki ke walid ki ijazat honi chahiye to maloom hone se pehle jitni baar bhi jima (intercourse) kiya hai wo halal shumaar ho ga, or in ke sabab peda hone wali olaad bhi halaal zada kehlaae gi, Or agr dono is shart ko jaante the ya shak main the ke nikah ke sahi hone main ye shart hai ya nahi to ye zina kehlae ga or peda hone wali olaad haram ki olad kehlae gi, Or agr dono men se koi ik (masalan larki) is shart ke bare main nahi jaanta tha or dosra(masalan larka) jaanta tha ya mutaraddid yani shak main tha ke is ke sahi hone main ye shart hai ya nahi to larki ke liye jima or olaad halaal shumaar ho gi, or larke ke liye zina or olaad haram ki olaad shumaar ho gi. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail ,Mafhoom e masala # 439, eidition # 5) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.