Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam walekum mere sawal hai k shadi ko 11 saal hogaye hain or husband ne biwi ko khush rakha hai or chupke se 7 saal se afair chala rahe hain ab jab wo larki dosri gagah devorse le k agayi k shadi mai ap se hi karongi to husband ne biwi ko bata diya k muje gilt tha k afair hai ab mai us se nikah karna chahata ho to biwi ne ijazat nai di is doran mai husband ne biwi ko kaha k milna(sex) mana hai take teri tub khul jaye q k wo pregnant nai ho sakti.par biwi ko lagta hai k jis husband ne kabhi us ko pregnancy k liye nai kaha wo aj q kahe raha hai. Mera sawal hai k kya ye dosra nikah karne se pahele paheli biwi k sath milna (sex)nai karna chahiye kuch madad k liye? .or dosra sawal jab nikkah k liye nai mani to wo phir dhoka dene laga or biwi ghar chor k chali gayi.jab husband ne kalma-e-pak parh kar use chora to biwi wapis ayi to kya us admi par bharosa kya ja sakta hai? jisne itna dhoka diya ho?plz madad kijiye or ab biwi ki koi care nai pahele chupane k liye care karte thay 
Answer Dosre nikah se pehle bivi ke sath jima(sex) kar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 504). Ye sahi hai ke Husband ne ik anjaan larki (namehram) se affair kar ke haraam kaam kiya, lekin ik musalmaan bivi ko apne shohar ko 2nd shadi karne se nahi rookna chahiye kun ke Riwayat ki roshni main mard ka ik se ziyada shadiyan karna Allah Taala ko pasand hai). Update on dated 20-11-2015. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 215). Or ager wo bivi chahti hai ke apne shohar ke nazdeek us hi terhan mehboob ho or us ka shohar us ka us hi terhan kayaal rakhe to apne kirdaar o Aklaaq ko us terhan bana le jis terhan affair ke maloom hone se pehle tha balke us se bhi ziyada ache Aklaaq ka muzahira kare. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.