Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Muhtram mufti sb mera sawal ye ha k jhota halaf uthany waly or jhoti qasam uthany waly k lie Allah Pak ka kia hukam hai. Mera masla ye hai k aik larky ny mery ghar rishta bheja,us ny halaf uthaya k wo muj sy shadi kry ga or apni ami ki qasam b khaye. Us k ami abu ny b mujy kha k yaqeen rakho. Us k khny py m ny apny ghar bat b ki, sb thek tha k achanak us ny or us k ghar walo ny rabta khatm kar dia or 15 din bad us ny apni clasfelow sy pasand ki mangne kr li. Ab mujy khud sy or apny ghar walo sy bhot sharmindge hti ha. M bhot sharef larke the kisi na mehram sy rabta na tha. Mery sath esa q hua. Ye dhoka krny py usy or us k ghar walo ko kia saza mily ge. Mujy us k bary m soch k or ye soch kar k m q us ki bat mani or q us ny bila waja dhoka dia boht taklef hti hai. Meri shadi or ache zindage k lie dua bta dein k mujy sakun mily. 
Answer Is tarah ke qasam o halaf ki Shariat e Muqaddasa men koi ehmiyat nahi hai, Q ke Sharai taqazon ke mutabiq ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634).Or Ap ka kisi bhi larke se shadi se pehle dosti karna jaiz nahi hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Achi or munasib jaga rishta hojanek liye Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain us larke ki jis ko Allah Taala ap ke liye pasand kare.(Ref :Naway e salaheen pg # 352)Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.