Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question meri nani ki Behan jinki shadi kaafi dur se hui h unki beti jo rishtey m meri khala lagi kya ussay nikah jayaz h hm dono hi ek dusre se behad pyaar krte h or shadi b krna chahte h hm dono k rishtey ko kaafi waqt b ho gaya h or ab hm shadi krna chahtey h hm dono k ghr walo k beech rishtey thode theek ni h is liye insecure feel hota h plz btaiye kse manaye apne ghr walo ko.. wo hamarey rishtey ko jantey h. or ham dono hi balig h... 
Answer Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain. (Ref : Naway e salaheen pg # 352). Apne Waaldain ko samjhane ki koshish karain. Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai mohabbat karna jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.