Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam u alaikum main buhat bari musibat main hoon koi kaam nhin ho rha bahar logon se baat krtey hoye buhat hichkichaahat hoti hai suraj say problem hai suraj main jaatey hi sr dard karta hai or aankhon per dhundlaahat aa jaati hai kuch sahi tarhan sunaayi nhin deeta baahar kaam nhin mil rha main apne abu kay saath kaam krta hon laikin aaye din abu ye bool kr kaam se waapis bheej deete hain ke jao mujhe tumhaari zaroorat nhin hai mere ghar main meri bari behan nafsyaati mareez hai yahan abu ke saath kaam main kuch barkat nahin hai aye din gaali galooch krte hain abu na main abu ko kuch bool bhi nhin sakta na hi apni bimaari zaahir krna chahta hon mere abu hum main se kisi ko pyaar nhin krte drasal hamare khaandaan main chachi or us ke bacho ko abu zyaada ahmyat deete hain apni bimaar beti ko bhi nfrat ki nazar se dekhtey hain hamain geer kaanoni bana ke rkha hai main jahan bhi kaam krta hon to chup chupa kay yaani abu ki nzron se bach kaay aap koi aisa wazifa ya kuch parhne ko batain kay abu ki nfrt hamesha ke lye khtm ho jai or meri behan sehat yaab hoo jai or phir us ki shaadi ho jaye or mujhe kahen se koi insaan zrya banaye jo mehmaan ban hamaarey ghar main aye jo hamaara kaam bana de saari pareshaanian khtm ho jaye dunia main saare hamaarey dushman niyast wa naabood ho jayain ameen allah apko buhat buhat zyada ajar de is kaam main allah hafiz 
Answer 1)70 Baar Surah-e-Hamd ka Parhna har Qisam ke Dard ke liye Shifa hai balkay har Bimari ke liye Shifa ha 2)Shadi kay liye Surah-e-ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik baar parh kar dua mangain to hisb-e-manshah rishta distiab ho ga aur kisi bhi jaiz.. 3) Muhabbat kay liay 213 martaba 'ya lateefo ya wadoodo' parhain. (Ref: Payam-e-Shifa,pg #189, Naeem-ul-Aamaal,pg #314, Naway-e-saaleheen,pg# 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.