Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mera sawal yeh hai ke jab main istinja kerta hoon to main pesaab kerne ke aakhri muqaam ko istinja ke dhele se khusk kerta hoon uske baad khade hoker dobara baith ker pesaab ke muqaam ko tanne per pesaab bahut halki miqdaar mein dikhta hai to phir main istinja ke dhele se khusk kerke baitulkhula se baher aane ke baad 2 minute chahelqadmi kerke phir baitulkhula mein pesaab ke raaste ko tanne per bahut halki miqdaar mein pesaab dikhta hai phir se main waisa hi kerta hoon teesri baar ke baad aur pesaab ke katre nahin dikhte sawaal yeh hai ke kya main istinja kerne ke liye istinja ke dhele ki jagah toilet paper ka istemaal ker sakta hoon kyonki ki toilet paper ko aasani se kahin bhi le ja sakte hain aur istemaal ke baad use phenk bhi sakte hain lekin istinja ke dhele ko her jagah use nahin ker sakte aur mai istinja ke liye istinja ke dhele ya toilet paper ka istemaal isliye kerta hoon ke mujhe pata chal sake ke pesaab ke aur katre aarahein hain ya band ho gaye baraye meherbani aap jawaab batadijye hamein namaj padhne mein bahut baar karahiyat mehsoos hoti hai 
Answer Pishaab ka makhraj pani k ilawa kisi cheez say paak nahi hota. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa,keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkain. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#62,70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.