Answer |
Agar Aurat Nikah karnay par Razi nahi thi to nikah sahi nahi hai albatta nikah kay bad Aurat nikah ki ijazat de day (ijazat kay liye koi aisi baat kahay ya koi kaam aisa kaam anjaam day jo raza mandi par dalalat karay to kafi hai) to nikah sahi hai or agar bad men bhi razi nahi thi tu nikah batil hai or talaq ki bhi zarorat nahi hai, aur agar aurat nikah k bad razi ho tu nikah sahi hay(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2338). Update on dated 30-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) |