Answer |
Istinja karnay k bad agar nijasat hathoon me reh jay aur wo nijasat peshab ho tu peshab door karnay k bad 2 dafa pani dalna zurari he. Aur agar wo pakhana ho to pakhana door karnay k bad aik dafa pani dalna zarori he. Albatta rang ya bu baqi reh jay tu koe haraj nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 63, 154-156).
Note: Sabun se haath dhona zarori nahi he, sirif paaani se hi dhone se najis cheez paak hojati hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|