Answer |
Gaibat e imam e zamana (a.s.) k zamanay me namaz e jumma wajib e aini nahi he , insane awal e waqt me bila takheer zohar ki namaz parh sakhta he.
Is k alawa Jumma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein jin me se aik jumme ki namaz ka baa jammat perhna zarori he, dosri shart namaz e jumma se pahle 2 khutbey, tesri shart jumma ki 2 namazoon k dermian aik farsakh se kam ka fasla na ho. Is k alawa jumma namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k sath 5 afrad he aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720).
Ehl e sunnat k saath juma ki namaz kafi nahi hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded masa’il fuqaha or mujtahideen ki nazar main, masalah # ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|