Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question namz k duran peshab ka qatra nikal jany sy wazu toot jata hai kia?? ya pir ghusal wajib hai.... 
Answer Pheshab najis hai aur agar aam insaan ( jise misalsal pheshaab aane ki memari na ho) se namaz k dourain pheshaab k qatre kharij ho jaay to us ki namaz batil ho jate hai aur libas tabdeel kar k ya use libaas ko pak kar k dobara se wazu kar namaz perhna zarori hai laikin ghusal karna wajib nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #81,1113 ,322) 1)agar koi shakhs ayse maraz me mubtela ho k ise pheshaab k qatre gherte rehte ho to Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko chhoreden. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki mohlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.3) jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz se pehle najis shuda maqam ko dho le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.