Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani Sahab 
Question Assalam u Alaikum. Mera sawal aap se khums k bare mein hai k agar kisi ne khums do saal pehle saving pe diya ho , for example us ne 210,000 pe khums diya or is sall khums nikalna chahta hai per is saal us k pas 150,000 ki saving hai...kia khums apply hoga ya nh??  
Answer 1)Agar koi aisa maal jis ka khums nikal dia gya ho ,aik saal tak aur baqi rah jay to phir os per dubara khums nahi lagay ga. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 120, pg # 55). 2)pehlay saal 2,10,000/= per khums dainay k baad baqi khums shuda raqam 1,68,000/= bachi thi, tu agar ye khums shuda raqam saal k akhrajaat k liay istemaal ki jay or aglay saal aap k paas 1,50,000/= ki saving hoe hay, laikin Q keh pichlay saal aap k paas 1,68,000/= khums shuda raqam thi is liay is 1,50,000/= per is saal khums wajib nahi hoga.( ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 95).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.