Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name IMAM SEESTANI. 
Question Salam, meri wife ne apne maa baap ko bewaqof banane ke liay un ki marzi se shadi kr li per shadi ke 1 mahene baad hi baap ke ghar chali gai bemari ka bahana bna kr hum sab yahi samjhe ke waqai may bemar hay per aisa kch nahi hay us ke baap ne or may ne bi us ki bemari ki wajeh se us ko us ke baap ke ghar kch din rehne ki ijazat de di.us ka baap kuwait may job krte hain jis ki wajeh se un ko shadi ke 1 mahene baad wapis jana per gaya un ke kuwait jate hi meri biwi bilkul thik thak ghoomne phirne lagi jaise kabhi bemar hui he na hooo.baad may hum per haqiqat khuli ke ye sab drama tha.ab wo talaq mang rhi hay per may talaq dena nahi chahta or us ke maa baap bi nahi chahte ke talaq dun.kia may by force (zabardasti)thora pressure laga ke us ko ghar la sakta hun.is may us ke maa baap bi razi hon too.  
Answer jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376). Update on dated 14-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.