Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mera sawal ye hai k shohar aur bivi bar bar janabat karty hon jesy raat me kiya phir subah me kiya phir ghusul kr k phir kuch waqt k baad sex kiya tau kiya hr dafa ghusul waajib hoga? Aur kiya aurat ko sir k baal bhi dhona laazim hai? Agar sakht sardi ho aur shohar bar bar sex karta ho tau aurat ko baal dhony me bohat masla hota hai qk aurat k baal bary hoty hen, iss se sardi lagny ka khatra bhi hota hai, kia bina baal dhoey poory jism ko dhony se ghusul nh hota? Plz rahnumaai farmaaen 
Answer 1)Aik jima k baad doosra jima kerne k liay ghusl kerna fouran wajib nahi isi janabat ki halat main dobara jima kerna jaiz hay laikin namaaz perh se phele agar janabat ki halat me ho to namaaz perhne k lie ghusal janabat karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah #5 ) 2) Ghusl me in chote chote baalo ko jo badan ka juz shumaar hote hain dhona zarori hai aur lambhe baalo ka dhona zarori nahi hai balkeh agar pani ko jild tak is tara pouchae k lambhe tar(ghele) na ho to ghusl sahi hai laikin agar inhain dhohe beghair jild tak paani pouchana mumkin na ho to inhe bhe dhona zarore hai taake paani badan tak pouch jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #378 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.