Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question AOA mujh koo menses 2 din kay baad hotay hay woh bhi 2 ya 3 hour tak phir nahin hotay iss main meri ikk namaz nikil jatii hay tu mujh koo bataye kay jab mujh koo aisa hoo tu main ghusal kar kay namaz parhoo mujh koo yeh problem meri delivery kay bad howa hay or meri delivery koo 7 weeks howa hay please mujh koo jaldii reply karay warna meri namaz choott jati hay 
Answer Haiz ka khoon umoman ghara aur garam hota hai aur is ka rang siyah ya surukh hota hai wo these se aur thore se jalan k saat kharij hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #432 ) Haiz ki mudad 3 din se kam aur 10 din se ziyada nahe hote aur agar khoon aane ki mudad 3 din se zara bhe kam ho to haiz nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 438). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Haiz k lie zarori hai k phele 3 din lgataar aahe lehaza agar misaal k tour per kise aurat ko 2 din khoon aahe phir 1 din na aahe aur phir 1 din aajaahe to wo haiz nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 439) Haiz ki ibteda me khoon ka bahar aana zarori hai laikin ye zarori nahe k pure 3 din khoon nikalta rahe balke agar sharam gha me khoon moujood ho to kafi hai aur agar 3 dino me thore se waqt k lye kohi aurat pak ho bhi jaay jisa k tamaam ya baaz aurato k darmiyaan mutaarif ha tab bhi wo haiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448,1612,440) Agar ki aurat ka khoon 10 din se phele rok jaay au rise yaqeen ho k is k baatin( andoruni hisse) me khoon haiz nahe hai to zarori hai k apni ibaadaat k lie ghusl kare agarche ghumaan rakhte ho k 10 din pure hone se phele dobaara khoon aajaegha . Laikin agar ise yaqeen ho k 10 din pure hone se phele ise dobaara khoon aajaegha to ehtiyaatan ghusal kare aur apni ibaadat baja laay aur jo chease haiz wale aurat per haraam hai inhe tarak kare. (Ref: Ayatullah sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #495 )  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.