Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question pregnance zaya kraerna gunha to nhi ha jab tak us ki dill ki dherkan nhi ho hum zaya ker sakty hen this is my wife problem 
Answer Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat(gheraana ) hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat (gheraana ) jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray agar gheraane wala doctor ho to diyat doctor per wajib ho ghe agarche doctor mah aur baab ki darkhaas per isqaat kyu na karaay magar ye k waris ise diyat maaf karde .( Ref: ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,hissa jaded fiqhe masaail , maslah #72 ,pg:466). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.