Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Biwi pe koi shart rakhi jae k misal k tor pe tum ne ye kerna ha agar na kia tu samjho talaq ho gai kia biwi wo ne kerti to talaq ho jae ge ya ne, main apni biwi ko guse main aisa keh gia hu please help me, Waiting your response 
Answer Talaq muallaq(conditional) nahi honi chahiay yani kise cheas per moukoof nah ho. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,pg # 152) . - Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e ''طالق'' k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.