Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name seestani  
Question janab ma ya pochna chati hon k ap ne jo amar bil maroof nahi anal munkir k steps batae ha , kia ya apni aulad, bewi or chote behn bhai par bhi apply hote han maslan , aulad walden ka hukum na mane , ya un se badtameezi karen, ya koi ayasa kam kare jo ghar ki k lia or us k apne lia nuksan deha ha , ya bewi abpne shohar sar baland awaz ma bat kare ya , use lift na kare , ya us ki ijazat ka bagher ghar se apne ma bap k jai , isi tarah chote behn bhai ki behteri ka lia wo steps han ya nahi,  
Answer : Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shaded tar he. Is buniyaad per agar koe apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be’ehtiyaati aur be’ baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat de. Lakin baap aur maa ki nisbat ehtiyaat e wajib he k narmi se un ki rahnuma’e karay aur kisi bhi waqt un k saamnay sakhti se pesh nah aay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2011) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.