Answer |
Is ka koe kaffara nahi hay or ab os k paas srif 2 talaq baqi reh jay gi.Q k Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq de kar os ki taraf rajhu kar le ya osay 2 dafa talaq de aur har talaq k bad os se nikah kar le ya aik talaq k bad rajhu karay aur doosri talaq k bad nikah karay to teesri talaq k bad wo is mard per haram ho jay gi.lakin agar aurat teesri talaq k bad kisi doosray mard se nikah karay to wo 5 shartoo k sath pehlay mard per halal ho jay gi. Yani dubara nikah kar sakhti he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2491) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |