Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question (Asalam o Alaikum) mara ap sy ya sawal ha k "Taqleed kay bary ma Quran pak & Hadees ma kaya hokm ha" or "ham jas ki taqleed karty han or hm on ky batay howy massal par amal kary han to hamar har amal ki zamadari kaya os par ho gi jis ki ham taqleed karty hn.As ky bary ma bi koi hadees & Quran ma sy hawala daan" Was salam 
Answer Wssalam o alykum, Quraan e Majeed main farmaya gaya hai ke na-jaanne walo ko Quraan e Majeed ka ilm rakhne walo se ilm hasil karna chahiye(Ref : Sura e Nehal (sura no 16) , ayat # 43) , or Imaam Mehdi (a.s) se Hadees marvi hai ke gebat kubra ke zamane main peesh aane wale halaat ke silsile main hamari hadesoo ko bayaan karne wae raviyoo ki taraf rujo karo kun ke wo hamari taraf se tum per us hi terhan hujjat hain jis terhan ham Allah ki taraf se hujjat hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 ,topic # fehrist se pehle). Or ager muqallid Mujtahid ke bataae howe fatwe per batane ke mutabiq amal kare to us ke amal ki zimmedari Mujtahid leta hai, jesa ke kud Ayat Allah Sistani ne Tozeeh u Masail ke shuru k saf`haat men fehrist se pehle farmaya hai. or is matlab per Surah e Bani-Israeel (sura no 17) ki ayat 71 dalalat karti hai, or uper bayaan karda hadees main bhi ye matlab hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.