Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question AOA mera sawal ye hai k menay shadi ki niyat say larki say baat kari mere dost ki cousn hai kuch banjao tab tak apne kamo mai laga raha sath sath apne ghar mai bataya aur us k ghar par bhe bataya to uski bari behan behnoi razi hue us k baad baat chalti rahi phr uski ami ko pata chala wo bhe razi hugaien phr us k yaha thora ana jana hua apne yaha mene subko razi karliya aur sub khushi khushi razi huagie q k jaldi shadi karna gunah aur masturbation say bachnay ka solution hai me apnay kamo mai lagaya han raat mai baat hoti thie meri larki razi mai be razi menay kafi chezo ki madad ki unhay q k wo gareeb thay menay time dia k mai ek rishta le k aoga achanak un k father k pass call aye aur un k father k dost nay k rishta aya hai abroad say pese wala hai aur ankh band kar k un k abu ne ha kardi bena olad ki marzi puchay aur dost jo hai us k betay se uski bari behan ki shadi hue jinhay meri shadi ki niyat pata thie phr jab subko baat pata chali to subne kaha k peso wala hai kardo aur meri buraie key aur kaha k mai sahi nahe hun jo jo razi thay wo sub apni commitments se pechay hugaie aur peso walay larkay ka rishtay ko khud say support karnay lagay mene rishta bheja izat se tab bhe koi jawab nai aya aur 2 jaga rishta kardia aur shuru mai behan behnoi khud melwatay thay un k father k samnay sari batay rakhi gaien tab bhe unhonay ye faisla kia jab k galati unki bewi aur bari bayti ki behnoie ki hai jis ki waja say mere ghar me meri izaat kharab hui mera sawal ye hai k ye jaiz hai k larki ki zabardasti shadi hoo us k marzi k khilaf??? kia ye jaiz hai k koi be kesi ko use kare phr bhala bura keh kar waday tor day aur is mamlay ko sahi karnay k liya kia krna chahiya?? q k 5 saal time spend kia hai bena milay julay 4 bar mulakat hui thie larki izaat k khatir chup hugaie magar contact karti hai aur me usay yahe kehrahun k jaha rishta laggaya hai waha k liya tyar hujaie is maslay ko hal karnay k liya kuch guid dijeya aur tafseel say read kariyaga shukria  
Answer Wssalam o alykum, us larki ke walid ke ijazat ke bageer Sharan ap ka us se nikah sahi nahi hai, or na hi us se baat or mohabbat karna jaiz hai, is ke bawajood Allah Taala per bharosa rakhte howe is wazife per amal kar ke Allah ki marzi ka intizaar karain, Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) , (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) , (Ref : Naway e salaheen pg # 352 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.