Answer |
Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay magar ye khof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi k lie nuqsandah to hamal mai agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal mai jan parnay k baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, jaded masail, masla # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |