Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question agar biwi 4 mahine se jyada apne mayeke chali jaye wo bhi ladai karke kya nikah toot jata hai  
Answer Shohar apni jawan biwi sai 4 mahinay sai ziada muddat(time period) k lie hambistari(intercourse) tark nahi kar sakta magar ye k(except) hambistari os k lie nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liay hambistari tark karnay par razi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye.Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar,e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Biwi ki giza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam sohar par wajib hai. lekin mard ko ye haq nhi k biwi ko gharelo khidmat par majboor kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376-78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.