Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question mera sawal ha k agar ap safar kr rahain hain to juma ke namaz parahin gain ya zohar ke namaz or agar ap ka pass time ha to sunnat or nawafal parh saktain hain  
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1) Musafir k lie namaz e juma main shirkat wajib nahi he. Chahay wo musafir aisa ho jis ki zimadari puri namaz parhna ho jaisay wo musafir jis ne kisi maqam per 10 din thehernay ka irada ker liya ho.yani os ko jumay k din ikhtiyaar hay k jumay ki namaz perhay ya zuhur ki namaz perhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720-21). 2)zuhor or asr k knawafil safar main nahi perhni chahiay or agar isha k nawafil rija(yani kisi amal ko matloob e khuda honay ki ummeed main anjaam daina) ki niyat se perhain tu koe haraj nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 755). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.