Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mai ne pochna hay k.. Aftr marrige jab miyan biwi k drmyan iktilaf a jai aur miyan k liyai bohat nafrat q k ush ki activities aise hay k nafrat dil mai bohat parh gai.. Aur woh sex just chata hy aur buwi ka dil nai pass janai ko b tw yeh haram hu jata hay amal.. Biwi srf bachu ki vaja sai guzara kar rae hay... Ap k khyal mai yeh kia hu ga.. Aur buwi kia karay.. Aziyat mai hay biwi kaisay khatm karay yeh aziyat.. 
Answer Hadees manqool hai, jis main me (aik orat ne) kiya, ya Rasool Allah! Shohar ka haq zoja per kya hai (yani bivi per kya kya cheezain farz hain)? Farmaya, lazim hai ke us ki itaat kare, kisi waqt or kisi hal main us ki nafarmaani na kare, jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho, phir us(orat)ne arz ki, ya Rasool Allah! Mard per kis ka haq sab se bara hai? farmaya, baap ka, arz ki (orat ne) orat per sab se bara haq kis ka hai? farmaya, shohar ka, arz ki (orat ne) shohar per mera haq utna nahi hai(jitna mere per shohar ka hai)?farmaya, nahi. or ik dosri Hadees manqool hai ke (orat per farz hai ke )kisi raat is halat main na sooe ke us ka sohar us se naraaz ho, us orat ne arz kiya, ya Rasool Allah! Chahe us orat ke shohar ne kitna hi zulum kiya ho? Farmaya han chahe kitna hi zulum kiya ho. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 4 , topic # hoqooq e zojain , pg # 140 , 141). Update on dated 20-11-2015.( Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.