Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam o Aliakum Mohtram Mufti sahib. Sir men ap sy aik masla discuss krna chahta hon wo ye k sir abhi 11 mah pehly mery father wafat pa gye thy jo k bohat ziyada naik,Naram dill,khush ikhlaq, aur bohat he ziyada Quran pak sy mohabat krny waly thy Aur Ma shaa Allah Quran pak parhty huwy he wo is dunia sy rukhsat huwy hain sir jb sy wo is dunia sy gye hain hmary ghar mein bohat ziyada tang dasti aa gai hai hmara ghar bohat be ronaq ho gya hai meri study choot gai hai kahin job nai mil rahi men parhna b chahta hon pr nai parh pa raha sir please meri madad krein kya ye hmary gunahon ka nateeja hai? kya mery walid azmaishon k agy dhaal thy? yani wo naik thy lekin hum sb ghar waly ba qaidgi ny namaz nahi parhty quran nahi parhty kya is wajah sy aisa ho raha hai? aur agr mujh sy koi gunah sarzard ho jata hai to kya mery walid jo k wafat pa gye hain un ko b khabar puhanchti hai kya? sir please koi aisa amal btayen jis sy ghar ki tang dasti door ho jaye aur mera Mehrbaan Rab aur mery Walid mujh sy khush ho jayen. 
Answer Wssalam o alykum, ap logo ke liye zarori hai ke apne tamaam wajibaat (jese namaaz, roza or qaza roze o namaaz) ko baqaaedi se anjaam dain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # before 717 , 1666). Or Quraan e Majeed o dua o sadaqa apne walid ke naam se karain. (Ref : Naeem u Aamaal , pg # 292). Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhain or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa dain ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.